Aisi dewaangee, dekhi na kahin,
hum haste toh aasman toot jata kahin,
hum ankhe milatey toh aag lag jati kahin,
hum bolte toh quayamat aa jaye kahin….
Palbhar mein tut jaye who kassam nahi,
dosti mein bhool jaye woh hum nahi,
tum bewafa bano is baat mein dum nahi,
kyuki hamari wafa bhi kuch kum nahi
`
Ulfat mein kabhi yeh hal hota hai
ankhen hasti hai magar dil rota hai
mante hai jise hum manzil apni,
humsafar uska koi aur hota hai.
Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho ,
apni aaknon mein kisi ko utar kar dekho,
chot unko lagegi aansoo tumhe aa jayegen,
yeh ehsaas jan-na ho to dil haar kar dekho
Unhe chhahna hamari kamjori hai
Unhe keh na paana hamari majboori hai
Woh kyun nahin samajhte hamari khamoshi ko
Kya pyar ka izhaar karna itna zaroori hai…………….
Koi aankhon aankhon main iqraar kar leta hai,
koi baaton baaton main mulaqaat kar leta hai,
bada mushkil hota hai jawaab dena,
jab koi khaamosh reh kar sawaal kar leta hai.
`
Zahar deta hai mujhe koi dava deta hai
Jo bhi milta hai mere gam ko badha deta hai.
sapno ki tarah aah kar chale gaye ,
apno ko bhulakar chale gaye,
kis baat ki sazza di aapne hume,
pehle hassaya phir rulakar chale gaye!
`
O husnawallo apne tevaar sambhaley rakhna,
nazron ki quayamat se ab hume naa darana,
humari mohobaat mein tum dil na jalana,
aur ishq-vishq ke chakkar mein, humse na takrana….
No comments:
Post a Comment